Adhikaar
adhikaar mera tum per na priye !! unmukt pawan si ithlaati, balkhaati chalti aati ho, kuch jaani si, kuch anjaani, khushbooen anekon laati ho. chapper mera hai ud jata, ghar uthal puthal ho jata hai, ek mast hawa ke jhonke si, tum pal me gum ho jaati ho. adhikaar mera tum per na priye !! jeewan ki kaali raaton me chanchal chapla drut daamini si, manas per chaati ho mere, sab aalokit ker jaati ho. tan dagdh hua jata mera, man bhi swaha ho jata hai, tum jyon agni ki lapak ek, choone ko gagan ud jaati ho. adhikaar mera tum per na priye !! jo abhi dikha na hai poora, voh swapan ho mere nayanon ka, jisme main rang bhara karta, ho chitra adhoora jeewan ka. yoon raaten vyarth kiya karta, main sapne bunta rahta hoon, tum mujhe akela chod, som ke sang ast ho jaati ho. adhikaar mera tum per na priye !! man me hai mere aakulta, ki pranay nivedan karoon kabhi, baahon me tumko baandh, adhron per rakh doon apne adhar sakhi. Man taane baane bunta hai, kaise mutthi me ret bharoon, banki...