Raaj-e-mohabbat jin dilon me hote hain, voh kuch chup chap se, khaamosh se kyon hote hain? mahakte hain chaman jin gulon ki khushbu se, subeh do ashk unki aankh me kyon hote hain? na ki parwah kuch zinda main jab tarapta tha, mere marne pe voh kyon zaar zaar rote hain? lagaaye daag kaise aadmi ne seene pe, zamin ke, abr her ek roj aake dhote hain. ye bahaaren, ye mahfilen, ye khushi ka aalam, aur hum badhavaas se, khaamosh baithe rote hain. Na ker tu gam mere dil ab kisi ke khone per, voh kahan paate hain jo kuch bhi nahi khote hain.