Tum hi tum ho base khayaalon me
Tum hi tum ho base khayaalon me, kya likhoon ab ki kuch bacha hi nahi. bhari mehfil me bulava do jhukti palkon ka, pukaarne ka voh andaaz ab bacha hi nahi. jo ghul jata tha tabiyat me shahad ke jaisa, tamaam shahar me vo lahza kahin bacha hi nahi. ye mere dil ke lahoo se ranga tera haath sanam, hina ke rang ke layak ye ab bacha hi nahi. mere pahoonchne me bahut der na ho jaaye kahin, aur vo kah den ab aaye ho? kuch bacha hi nahi. ki jis lohe se khuda dhaalta tha aadam ko, ab bahut saal hue, faulaad voh bacha hi nahi. aaj duniya me her insaan lahoo ka hai pyaasa, aur ragon me daudta paani, lahoo bacha hi nahi. ki ab maykhaane me sab pee ke hosh khote hain, jo pee ke hosh me aaye, voh ab bacha hi nahi. vaqt ne likh diya sab kuch abhaga chehre per, chhipaayen dil me jise, raaj ab bacha hi nahi.