3. chalo mere saath jab tak raaste apne judaa hote nahi, musaafir chaar din ke hum, kisi ko bevafa kahte nahi. hain is umeed me kayam nafas ke silsile ab tak, ki mera muntazir hoga, liye voh haath me khanjar kahin. [Nafas: breath,saans Muntazir: one who waits] asar deedar ka hai ya ki kaafir ho gaya hoon main, tamanna-e-parastish hai magar koi khuda bhata nahi. [parastish: worship] bahut si khwahishen aayin humaare darmiyan lekin, na main badla abhaga, na meri aawargi badli kahin. 1. Zinda rahe to fir milenge, haal-e-dil tumse fir kahenge, aur karenge umeed, ki kabhi kisi udaas shaam me, tumhaari aankhon se ek aanson humaare naam ka bhi bahega. Zinda rahe to fir milenge, haal-e-dil tumse fir kahenge, aur karenge umeed, ki kabhi kisi andheri raat me, taaron ki us barat me ek chehra tumhe humaara bhi dikhega. Zinda rahe to fir milenge, haal-e-dil tumse fir kahenge, aur karenge umeed, ki chahe tum mujhe bhool bhi jao, tumhaare dil me thoda sa dard humaare naam ka fir bhi rahega. Zinda rah...