Saathi Mere !!

Jab kautoohal ki nidra me,
is jag ke swarnim swapan paash,
bandhan me mujhko baandh,
kisi anjaan desh le jaayenge.
saathi mere tab kya mujhko tum vapas lene aaoge?

swapno ki urwar bhoomi chhod,
jab main yatharth ke banjar se,
aalingan tera tod kisi,
girte ko uthaane jaoonga.
saathi mere tab kya mera tum haath bataane aaoge?

sheetal bayaar jab sawan ki,
tan man me aag lagaayegi,
dhaani choonar ko od dhara jab,
geet milan ke gaayegi.
saathi mere tab kya mujhko ker yaad vihval ho jaaoge?

Fir tod sabhi naate rishte
aur chod sabhi sangi saathi,
ek din jag ko taj ker main
sukh ki chir nidra so jaoonga.
saathi mere tab kya mujhko tum dekh nahi muskaoge?

Comments

Braveheart said…
Brilliant! Absolutely Brilliant! Now you have it right. Can you see the different between the sweet and moist lucidity of this one in contrast with the dryness of the previous? Thats what I pointed towards!
Akshaya

Popular posts from this blog

बिछड़ते दोस्तों के नाम

क्या लिखूं?

Do nightmares qualify for dreams?