bahut bechain hai ye dil mera !!

bahut bechain hai ye dil mera,
ki aaj kisne hume yaad kiya?

mili sharaab ya aankh ke aansoo,
ki humne jo bhi piya khoob piya.

Hansi khushi umeeden baad-e-vafaa,
mila tha jo bhi sabko baant diya.

liya Zindagi ko humne aade haath her pal,
Aur zindagi ne bhi bharpoor inteqaam liya.

dekh yoon zindagi ka haal abhaga bola,
jiya jiya, na jiya to bhi aisa kya na jiya.

Comments

Braveheart said…
Though I belive you should have spent more time on it, to bring it out with some moistness, the last two lines say it all. And I reckon thats where your focus was :)

Write more. Maybe that'll help!
Akshaya
Anonymous said…
Don't know about the rest... lekin yaad maine bhi kiya tha :-D

gauraw
Anonymous said…
दर्द– ए –दिल को भी क्या खुब सिला दिया ।
अभागे ने मुझे फिर आज जाम पिला दिया ।
Anonymous said…
aap ansho peete hain yeah phir jaam peete hain....
hume to lagta hai aap sab kuchh chhipakar jamaane ke saamne hanste hain.
kya khoob hai aapki zindagi jeene ki ada
andar ke haal ki kisi ko koi khabar hi nahin hoti
jab gujre aapki nzamon ke safar se to mehsoos huya
aapke paas bhi hai bechain dil ka tohfa

aap hume nahin jaante hain
waise
humne aapko jaanne ki tamanna bahut pahle chhor di
socha tha kabhi fursat me aapse baat karege
us fursat ko dundne me saara waqt nikal gaya
:-)

Popular posts from this blog

बिछड़ते दोस्तों के नाम

क्या लिखूं?

Do nightmares qualify for dreams?