raaj-e-mohabbat jin dilon me hote hain

Raaj-e-mohabbat jin dilon me hote hain,
voh kuch chup chap se, khaamosh se kyon hote hain?

mahakte hain chaman jin gulon ki khushbu se,
subeh do ashk unki aankh me kyon hote hain?

na ki parwah kuch zinda main jab tarapta tha,
mere marne pe voh kyon zaar zaar rote hain?

lagaaye daag kaise aadmi ne seene pe,
zamin ke, abr her ek roj aake dhote hain.

ye bahaaren, ye mahfilen, ye khushi ka aalam,
aur hum badhavaas se, khaamosh baithe rote hain.

Na ker tu gam mere dil ab kisi ke khone per,
voh kahan paate hain jo kuch bhi nahi khote hain.

Comments

Braveheart said…
Whos ghazal? Being in italicized means not you. Right? Then?
Akshaya
abhaga said…
well actually it is mine. Galti ho gayi :P
Braveheart said…
Still trying to get the jist of that last sher :p
Good effort otherwise!
Akshaya
Anonymous said…
hiiiiiii guys, this is madhur here frm lucknow,ur gazals r so nice but if u add somthing romantic in it, it will be so so ..... nice.
madhur

Popular posts from this blog

बिछड़ते दोस्तों के नाम

क्या लिखूं?

Do nightmares qualify for dreams?